Saturday, November 2, 2024

बनारस (वाराणसी)

varanasi 

 

Dashashvamegh Ghat, Varanasi(Baneras)


Mai yeha kitna bhi likh du, lekin aap ko iska Aanandit anubhav tab hi mil sakta hai jab aap Swayam yeha visit karenege,

Iski Sunderta, iski Prachinta, iska itihaas aur yeha ka mahaul dekhte hi banta hai.

Iska sabse sunder aur Mann ko shaanti ki anubhuti dene wala koi Dryshya hai to wo hai yeha ki GANGA Aarti, humne is aarti ka bahut hi accha Anubhav uthaya.

Eeha Kul 170 ghat hai, Aap  matr Rs100 dekar yeha ke 40 ghat ghum sakte hai Naav ke zariye- HARISHCHANDRA GHAT se MANI KARNIKA GHAT tak.

In Dono hi ghaaton par Mritak Shariron ko Mukti yaani Antim Snaskaar ka Praband 24 ghante hote hai


GANGA AARTI
Ganga Aarti Baneras ke Dashashwamegh ghat ar hoti hai, hum khaas Aarti dekhte ke uddeshya se hi gaye the, App ne bhi Ganga aarti ka kaafi naam suna hoga.

GANGA Snan- App waha tak jayenge to Ganga snan kiye bina nahi laute sakte.

BABA KASHI VISHWANATH
Aap inke durlab darshan bhi kar payenge, jo aapki aatma to trupt, tatha Mann ko shanti ki anubhuti pradaan karega.
Yeha tak aake agar aapne inke darshan nahi kiye to yeha tak aana vyarth hi hoga.
Zaruri Suchna:- Mandir ke andar aap kisi bhi Prakaar ki samagri le jana pratibandhit hai.

Annapurna Devi Mandir







Friday, October 18, 2019

शांति

कमज़ोर वही होता हैै जो शांति कि बात करता है,
लेकिन
शांति उसी को मिलती है जो शक्ति का प्रदर्शन करता है।